Suraha Yaseen ki karamat | urdu story

Suraha-Yaseen-ki-karamat-urdu-story
Photo by Ashkan Forouzani on Unsplash


Bartania men qayyam ky doraan mery sath aik hairat angaiz waqia paish aya.1993 ki garmio ka zikar he. Pakiatan se mery walid mohtram or walida sahiba hum bhaio k pass rehny aye. Mery bhai Oxford k qareeb waqie shehar  Hai wekmab men muqeem thy, jub ky men bread ford men tha.
Waledain ko shuro ky 2 mahiny bhai k pass rehny k bad mery pass ana tha. In dino men bekaar tha. Yani car ky baghair. Is lie inhen lany ki khatir apny dareena dost  Hafiz shafique se baat ki thi ,in k pass bari car thi. ( Hafiz sahab ne bartania men hi Quaran hifaz kiya tha) . Mansooby k mutabik August ki aik subha hum bread ford  se rawana hue.
Yaktafa safar 200 meel par muheet tha. Subha se hi taiz baarish or tofaani hawa chal rahi thi.  Abhi hm motor way pr 15 meel hi gaye hun gy, driver k samny nisab wiper toot gya. Khushqismati se service station qareeb hi tha.hafiz sahab ne ahista ahista wahan le ja kr A.A walon ko phone kiya or car khari kr di. Phr A A ko apna masla btaya.
Bartania men tamam shehrio ne emergency service rukniet le huiti he. Muda ye he k safar k doraan koi kharabi paida ho jaye to wohin mekanik bula ke  door kraya ja sky. Wesy to ye service 3, 4 compania muhaya krti han.lekin in men se purani A.A or RAC compnia han.
Ap kahin bhi ho phone krny pr  company k mekanik zyada se zyada adhy ghanty men wahan pohnch jaty han. Wo srak kinary khari gaari ko thk krny ki koshish kren gy. Agr koi bra ukas hua to gaari khench kr qareebi geraj men pohncha den gy. Ya phr ap k ghr tak chor ayen gy.
Qisa mukhtasir , car ka muaina krny k bad pta chala k waiper ka mukamil unit toot chuka jo order par mangwana pary ga. Is lie makenik hamari car khench kr wapis breadford chor aya. Baarish rukny ka naam nahi le rahi thi. Zahir he baghair waiper safar krna  mumkin nahi tha.
Breadford pohnch kr hafiz sahab ne mukhtalif doston ko phone kiye jin se bari car milny ki umeed thi , magar wo kam kaj k silsaly me. Gharo se nikal chuky thy ya in k pass choti car thi. Walida sahiba chunky thak jati thi is lie bari car chayie thi, taky unhen pichli nashist pr lita k laya ja saky. Mukhtalif jagho  se kiraye ki car hasil krny ki koshish ki magar kamyabi nahi hui. Inhi chakro men dopher ho gayi thi or hum wohin khary thy jahan se hum ne chlna tha. 2,3 ghanto bhaag door krny k bad hafiz sahab ne mujhy kaha sultan sahab isi car men chalty han.
Men ne kaha “ ye kesy mumkin he baarish ki wja se chand gaz agy sarak nazar nahi ati “ waiper k baghair shisha kesy saaf hoga? Kehny lagy pehly men tamam mumkaina  ikdamat azma kr dekhta hn kisi tarah kam ho jaye. To phr men akhri qadam uthata hn mera Allah mujhy kabbi mayoos nahi krta.
Ye keh kar wo ba awaz buland surah yaseen parhny lagy. Hafiz sahab jesy jesy parhty ja rahy thy meri gunah gar ankho ne dekha k pehly barish ahista ahista halki ho rahi thi, phr mukamal tor par tham gayi. Mukamil asmaan jo kaly badlo se dhaka hua tha, dekhty dekhty saaf hony laga.
Jesy hi hafiz sahab ne surah yaseen mukamil ki dhoop nikal ai. Phr rasty yani aty or jaty hue men asman par badil ka aik tukra bhi nahi dekha. Ye waqia go 20 saal purana he magar mujhy aaj bhi lagta he jaisy kal ki baat ho. Hafiz sahab ko men jb bhi ye baat yad dilata hun to wo zere lab muskrany lagty han. 
Ye qurani surah se hony wala mojza he jo meri ankho k samny zahoor pazeer hua. Or deen par mera yaqeen our pukhta kr gaya.

Share it

Do not miss

Suraha Yaseen ki karamat | urdu story
4/ 5
Oleh