Such me barkat | urdu story

Such-me-barkat-|-urdu-story
Photo by Anson Antony on Unsplash

Arab k log kafiloon or musafiroon ko lootny men boht mashhoor thy. Un ka watera tha k wo jungle ya kisi baag ki ourh men chup kr baith jaty.or raah guzarty logon ko loot'ty or apni taqat ka muzuhira karty. 
Purany waqato ki baat he mard ,auton or bachun par mushtamil aik kafila arab k kisi aisy hi alaky se guzar raha tha, jahan ehly alaka dakoon k roop men pehly hi un ghaat lgaye bethy thy. 
Jesy hi kafily k log un k qareeb pohnchy unhon ne un par hamla kr diya or lootny k bad jaty jaty kafily k logon se un ki mazhamat krny ki padash men un k 2 naye log qatal kr diye or talwaren lehraty fatah ka jashan manaty faraar ho gaye.
Gareeb kafily k log apny pyaron ki moot k dukh men rooty pert'ty apny kafila salar k naqshe qadam pr agy barhy  lekin kisj ne in ki dar rasi nahi ki. Or na hi kisi ne un k haq men awaz uthai. Kux dino ki masafat the krny k bad raat guzarny k lie sehra men thehry. Kafily ki aurten khana pakany ka saman krny lagi. Or mard hazrat aag jalany k lie lakri intizam krny lagy. Raat ka waqat tha or roshani door se dekhi ja sakti thi. 
Kuch rah bhatky bhooky ghur sawaro ne aag jalti dekhi to us taraf a nikaly. Ab isy qismat kehty han ya qudrat ka khail k ye log wohi dako thy jino ne pehly inka kafila loota or phir in k 2 afraad qatal kr diye thy. 
Ye sabhi nakab posh dako kafila k salaar k pass gaye or boly “ hum rah bhatak gaye han” or bohat bhooky bhi han agar kuch khany ko mil jayr or kuch dair araam krny ko mil jaye to nawazish ho gi. 
Salaar ne foran apny logon ko hikam diya k mehmano ki khatir teazeh ki jaye. Or is silsaly men koi ghaflat na ki jaye kuen k mehman Allah ki rehmat se aty han. 
Jub ye dako achi tarah khana kha chuky thy or achi tarah araam kr chuky thy to thakawat door karny k bad jaty jaty aik dako salaare kafila se bola “ agar hamary chehry par nakab na hoty or ap hamy pehchan lety to kabhi ap hamari itni khatir na karty . Kuen k ap nahi janty hum kon han?
Salaar e kafila ne muskrat hue kaha “ barkhodar beshak tum logon ne apny chrhry ko nakab se dhaanp rakha or raat ka andheera bhi he. Lekin men tmhary nakabo k andar chupy chehry kesy bhula sakta hun? Tm sub wohi log ho jinhon ne pehly hamy loota tha or phir hamary 2 afraad ko qatal kiya tha. Jin men se aik mera sagaa bhai tha…. 
Salaare kafila ki baat sun kar wo dako choonk gaye or boly “ sub kux janny k bad phr bhi ap ne hamary sath itna acha salook kuen kiya?
Salaare kafila bola ye to naseeb ki baat he. Us din hum ap k mehman thy jo ap se ho saka ap ne hamary sath kiya, lekin aj ap hamary mehman ho. Jo hum se ho saka hum ne kiya. Allah to sub daikh raha he wo hi is ka ajar de ga. 
Bhaio or bheno deen ko ikhtiar  karna or islam ki baat krna boht asaan he, lekin apny kidar k namony se dunia ko zair krna or rahe rast par lana boht mushkil amer he. Lekin ye hi deen or yehi yeqeeqi insaniat he.

Share it

Do not miss

Such me barkat | urdu story
4/ 5
Oleh