White Squash story in urdu

White Squash story in urdu
Photo by Jasmine Coro on Unsplash








Ak zamany me bht gareeb meeya bivi rahty thy. Na inka koi Ma Bap tha na koi bhan bhai wo dono akely rahty thy. Or wo bohat gareeb thy. Itny gareeb thy ky in ky pass khany ko bohat mushkil sy hota tha. Or wo bohat preshan thy apni es gareebi ki waja sy. Per wo Allah ka shukar adda kar ky waqt guzar rahy thy. Shadi ko kafi arsa ho gya per in ki koi ulad bi nhi the Or wo Allah sy dua karty thy ky inhy ak buchy sy nawaz dy.
Ye dono meeya bivi bohat gum zada or preshan rahty thy. Wo sochty thy ky khany ky liye kha sy lao or waqt guzaro. Bohat mushkil sy inka guzara ho rha tha. 1 waqt ka khana bohat mushkil sy milta wohi kha kar saray din guzara karty. Wo ak white bagho me rahty thy. Jo in ky ghar me tha. In ka bagh bohat bara tha us me bhot sy darakhat thy jin per phaal phool ughty thy. Wo apna sara din esi bagh me guzar dethy thy. Lakin ak seezan: darakhto ny phaal dainy chor diye. Lakin phool bohat saray uggy thy per wo phaal me tabdeel nhi the howy. Ky wo in ko bach kar kuch khany peeny ko la saky. 
Ak din, wo orat bagh me ak sabaz squash dekh kar bohat khush hoi. Or us ki dagh bhal karna shuru ho gai roz pani dethi us ka Khayal rukhti. Bohat din guzarny kay bad jab wo squash pack gai wo bohat khush howy or dono meeya bivi ny esay katny ka faisla kiya. Jab wo esay katny ky liye aye. To bivi ny kha zera ehtayat sy katna. Jab sabz squash kati to us me sy ak chota larka nikla jisko dekh kar dono bohat khush howy.
In ki khushi ka koi thakana ni tha. Phr bivi us choty larky ko utha kar under ly gai. Jab usay nahlany ky liye pani us per daala to wo soony ka pani ban gya. Ye dekh kar wo or zyadha khush howy ky ye bucha in ky liye bohat zyadha khass hai. Us din ky bad wo dono meeya bivi kabhi gareeb ni rahy. Or hansi khushi zindagi guzarna shuru kar di q ky Allah ny in ki ulad wali bi dua qabool kar li the or un ki qareebi bi dore kar di. Or choty larky ky sath zindagi guzarny lagy.
Nateeja: Sabar karna seekho. Kyun ky ak din Allah sabar ka phaal zaror detha hai. Or sabar ka phaal bohat meetha hota hai. Allah hum sab ko bi sabar karny ki tufeeq anayet farmaye Ameen!

Share it

Do not miss

White Squash story in urdu
4/ 5
Oleh