The Bees and The Beetles Story in urdu

The Bees and The Beetles Story in urdu
Photo by Boba Jaglicic on Unsplash




Aik dafa ka zikar he k paharon par boht door podon or mikhtalif darakhton se bhara hua jungle tha. Jis men tarah tarah k janwar, parindy or keery rehty thy. 
Aik boht bary darkhat par boht shahed ki makhion ka chatta tha. Shahed ki makhian hamesha shaed jama karny or aoni kanghi bharny men lagi rehti. 
Or aik purany karakhat par makhion k qareeb betlais ki kalooni rehti thi wo purany darakhat k tany men rehty thy. 
Makhian or betlais boht achy parosi bany hur thy. Kabhi aik dosry ko takleef nahi dety. Hamesha pyar or mohabat se rehty thy. Aur mushkil waqat men aik dosry k kam aty thy. Wo aik dosry k sath pusakoon rehty thy. 
Aik din makhion ne betlais se kaha hum apki dawat krna chahty han. Ap sub hmary ghar tashreef laen. Betlais ne kaha thek he hum aj raat ko ap k pass ayen gy. Jesy hi raat hui betlais or is k sathi makhio k pass gaye. Jesy hi wo makhion k pass pohnchy makhion ne behtreen shahed paish kiya. Jo makhion k pass majood tha. 
 Betlais ko shahed passand nahi tha. Unhon ne boht koshish ki khany ki magar na kha saky. Lekin phr bhi unhon ne thora boht khaya. Or khany k bad makhion se ijazat leni chahi. Makhion ne ijazat de di or betlais ur gaye. 
Agly din betlais ne socha k makhion ko bhi dwat di jaye. To unhon ne makhion ko bhi dawat par bulaya or khana paish kiya. Khanu men gober se bhai plait makhion ko paish ki gayi. Sub ko pata he makhian to sirf shahed kha sakti han or kuch nahi. Makhion se ik kaat bhi nahi khaya gya. Thori dair bethany k bad makhion ne ijazat chahi or betlais ne ijazat de di. Or phr makhian ur kar wapis a gayi. 
Makhian ye dekh kar boht hairan hui k unhon ne kesa khana paish kiya. 
Makhion k jany k bad betlais boht khush hue k hum ne bhi wesa khana paish kiya jo makhion se khaya nahi gya. Or makhian afsoos zada hui k hum ne un kitna acha khana paish kiya or unho ne hamy kia diya. 
Kuen k shahed ki makhian humesha achy or khushbudar phoolon se ras ikhtha kar k shahed bnati han. Unho ne kabhi gandi cheez ki taraf ishara bhi nahi kiya. Isi lie hum sub bhi shahed ko passand krty han. Or hum shauq se khaty han.
Jub k betlais hamesha gandagi wali jaga par jaty han or gandi cheezen khaty han. 
Is se humy ye pata chalta he ap humsaya koi bhi ho usy tang nahi krna chahyie pyar or khush ikhlaaqi se rehna chahyie.or kisi ko us k mutardif khana paish nahi karna chahyie .
Mehman ki achi tarah khatir karni chahyie.

Share it

Do not miss

The Bees and The Beetles Story in urdu
4/ 5
Oleh