Hazrat Saleh ki koom story in urdu / hindi

Hazrat Saleh ki koom story in urdu / hindi
Photo by Ghadeer . on Unsplash





Madina munawara se 3000 kilometre door aik khamosh ilaka he. Is ko madaeen saleha keht han. Is ilaaky men Hazrat Saleh ki qaoom abad thi. Is qaoom ko qaoom samood bhi kehty han. Ye qaoom Hazrat Hood ki qaoom k hum Asar thy. Hazrat Hood ko qaoom ko qaoom Aad kehty han. Jin ki bakiat aj kal behreen ky sehra Abaar men majood han. 
Chunanchy qaoom Saleh ya Qaoom samood ne Allah se kuffer kiya. Boht lamby chory or taqatwar thy. Unho ne paharon se abder apny ghar bana rakhy thy. Jo kisi bbi mosmi shudat ka samna kr sakty thy. Wo hazrat saleh ki tableegh k mukably men kehty aye saleh humary azeem shaan gharon ko dekh kia hum boht zyada taqat waly nahi. Agar humary mukably par koi or qaoom he to in ko lao humary samny par. Lekin jub unho ne Allah ki nishani aik oontni ko maar dala oontani ka bacha roota chekhta cholaata hua aik pahari men gum ho gya. Huzrat saleh ne kaha 3 din aony gharo men faida utha lo ye Allah ka wada he jhoota nahi ho ga. To Allah ne apni mehrbani se Hazrat saleh or kuch login ko bacha lia. Is qaoom ko chingar ne a pakra. Wo apny gharon men ondhy pary eeh gaye. Farishty ki wo cheekh ya pukar itni shadeed thi k in k kaleejy phat gaye. Or apny gharon men pary pary hi halask ho gaye. Wo jitny bhi taqatwar thy lekin Allah se zoor awer ni ho sakty thy. Wo bartar or alaa he.
Riwayat men he k Hazrat Muhammad (s.a.w) apny ashaab k sath is alaaky se guzry  Hazrat muahmmad (s.a.w) k chehry par iztrab tha. Or aisa lagta tha k wo jaldi men han. Wahan k logon ne aik kunwy ka paani paish kia lekin Ap(s.a.w) ne ashaab ko mana farma diya. Or jaldi wahan se nikalny ka hukam diya. Sahab ne istrab ki waja pochi to Ap (s.a.w ) ne farmaya yahan Allah ka azab nazil ho chuka he ye ilaaka Hazrat saleh ki qaoom ka he jis par Allah ne sakhat azab nazil kiya. Wahan na rukna na paani peena aisy raaz han jis ki khaber hamy nahi he. Ap (s.a.w) tabyat men boht masoom han magr azab  e ilahi sun kar aam shakhas andar se dehal jata. Wo to Allah k rasool han jin ko Allah ki taqat ka bakhobi ilam he. 
Bilkul hi aisy qaoom loot k sath hua. Wo log hum jins parsti jesy makro kaam menpar chuky thy. Hzarat loot ne inhy khabdar kiya magr aisho ishrat or gunaho ki lazzat me itny gharak thy. K hazrat loot ko stana shuro kr diya. 
Hazrat loot , Hazrat ibrahim k hum asar thy. Apni qaoom ko boht samjhaya magar wo baz na aye. Allah ne apny farishty Hazrat loot ki tarf bhejy .or farmaya kuch raat rahen phr apny ahelo ayal ko le kar kahin nikal jayen. Allah ne quraan men farmaya k humary Azab ka waqat subha he. Or kia subha kuch door he?
Farishton ne takeed ki k koi peechy mur kar na dekhy. Chunachy sehari k waqat qaoom loot par Allah ne asman se pathro or aagg ki barish shuro kr di.
Quraan men farmaya , Hum ne in par taih dar taih kankrian barsain or poori basti ko neechy se uper kar diya.
Aj jadeed science ne is baat ko sabit kr diya k jub ye qaoom zameen par thi us waqat burje sinbla se shahab saqiboon ki barish hui thi. Wo pathro ki barish aagg k bagoolon ki tarah is qaoom par nazil hui thi. Ye apni dunya men magan thy in ki hadion se pata chalta he k inyehai kurab nak azab ki zad men a gaye thy .
Hazrat loot ki bivi ne Allah ki khilaaf warzi ki peechy mur kar tabha hota shehar dekhny lagi or wohin pathar ki jo gayi. In ki baqiat aj bhi bahera mardar k pass  wasi sadoom men dekhi ja sakti he. Allah hamy seedhy rasty par chalny ki taofeeq de . Or azabe ilahi se bachaye rakhy. Jo humaty lie boht bhaari he.

Share it

Do not miss

Hazrat Saleh ki koom story in urdu / hindi
4/ 5
Oleh