Fazail ahly baet | urdu story

Fazail ahly baet | urdu story
Photo by طفاف ابوماجدالسويدي on Unsplash



Hazrat Zaib bin (RA) sy rawayet hai. Ky inho ny kha ky Rasool Allah (SAW) ny arshad farmaya ky: me tum me do chezy choray ja raha ho. Merey bad jab tak tum inhy pakri rakho gy to kabhi gumrah ni ho gy. Ak in me sy dosri sy azeem tar hai. Wo ak to Allah Tallh ki kitab hai or Allah Tallah ki asman sy zameen tak pheli hoi rasi hai. Or dosri meri olad, merey ghar waly hai. Or wo alag alag na ho gy yaha tak ky roz qoosar par merey pass pounch aye gy. Pus ab tum soch lo merey bad in sy kya mamla karty ho or kesey peesh atay ho.
Faida:
Es hadees mubarqa me Rasool (SAW) ny kitab Allah yani Quran majeed ki taraf apni ummat ko tuwaja delai hai. Or apny ehal ky bi haqoor yad delaye hai. Or ehly bayeet ki azmat or fazilat bayan farma di hai. Ky tum merey nisbat ky khayal sy in ky haqoor ki  me jitny zyadha sargarm rahu gy. Or inki her tarah ki khari khabar me hisa lo gy itna hi tumharay haq me better ho ga. Or tumhy duniya or akhrat me khairo afiyat naseeb ho gi. Or ap (SAW) ka ye farmana asay hi hai jesa koi shareef bap dum rukhsat per apni ulad ky liye waseyat karta hai. Ky me ye apni ulad ky liye chor kar ja raha hu. Tum inki Khoob deg bal karna. Or inky haqoqo mafadat ka tahafuz karna. 
“or ye dono alag alag ni ho gi” yani qayamat ky tamam marhaly per in dono yani qeetan Allah or ahley baet Rasool Allah (SAW) ky sath rahy gy. Kahi bi ye ak dosry sy judha ni ho gy. Yaha tak ye dono mil ksr merey pass hozy qosar me aye gy. Or duniya me jin jin ny in dono ky sahi haqooq ada kiye ho gy. Inka name ly mera shukriya adda karay gi. Badly me ma inky sath nihayet acha salooq or ehsan kro ga. Or Allah bi inko qamil jaza or inam atta farmaye gy. Or duniya me jis ny inli haq talfi ki ho gi. Or dono ky sath kufrat neymat kiya ho ga. In ky sath es ky baraqs mamla ho ga.
Pus ab tum soch lo me ny in dono ki haseyat or ehmiyat bayan kar di hai. Ky in dono yani qatab Allah or merey ahel baet ky liye kya mamla karty ho.
Rasool (SAW) ki muhabat ka ak taqaza hai ky ahle baet sy muhabat ho jesa ky khud Rasool (SAW) ka farman hai “Allah ki muhabat ki bina per muj sy muhabat karo or meri muhabat ki bana per ahle baet yani merey gharany ky afrad sy muhabat kro. 
Or ahle baet bi jin ky mutaliq Allah Tallah sahifa akhrat me inki taharat pakeezgi ka es tarah ihtram farmaty hai.
Ay pegambar ky ghar walo! Allah ko to yahi mazoor hai tum sy her tarah ki gandagi ko dore kar dy. Or tumhy asa pak saf kar dy jesa ky pak saf krny ka haq hota hai.
Wo ahle baet jinki fazilat qaby ka darwaza tham kar ap (SAW) ny farmaya:
Dekho! Merey ahle baet ki misal tum me sy kashti Nu ki si hai jo es me siwar howa buch gya jo es me sawar hony sy rah gya wo halaq ho gya.
“Allah Tallah hum sab ko es qashti me sawar Farma dy. Jo hmarai falho babod ka zariya hai. Or humy halaqat sy mehfoz farma dy. Or ahle baet ki hmari dillo me sahi aqeedato ihtram naseeb farmaye Ameen!


Share it

Do not miss

Fazail ahly baet | urdu story
4/ 5
Oleh