Makhbar e sadiq | urdu story

Makhbar-e-sadiq-|-urdu-story
Photo by Izuddin Helmi Adnan on Unsplash



Hazrat Muhammad (s.a.w) ka irshaad he jesy hi Hazrat Zubair ko yaad aya to wo jung se alehda ho gaye or wo wapis loot gaye jub ap wapis ja rahy thy. Aik islaam dushman saba'a ap k sath ho lia. Rasty men namaz ka waqat aya. Hazrat Zubair ne namaz ki tyari ki. Sabai jo islaam ka libaas orhy hue tha is ne bhi namaz ki tyari ki or ap ki iqtidaa men khara ho gya. Hazrat Zubair jesy hi sajdy men gaye to islam dushman sabai ne ap ka sar takvaar se qalam kr diya. Ap shaheed ho gaye. Umro bin jarmooz nami ye sabai ao ka sar le kar Hazrat Ali ki khidmat men hazir hua. Hazrat Ali ne Hazrat Zubair ka sar daikh kar kaha aye Zubair k qatal tumhy jahanum mubarak ho. 
Jung zoron par thi fareeqain aik dosry par tabar toor hamly kar rahy thy. Hazrat Ayesha oont par bethy apny janbaazon ki hosla afzai krti rahi. Hazrat Ali ne ye andaza lga lia k ount jub tak apni jaga khra he us waqat tak khoonrezi band na ho gi. Lehaza ao ne apni fouj ko hukam diya k Hazrat ayesha k ount k paon zakhmi kar diye jayen. Chunachy aisa hi hua ount zakhmi jo kar neechy baith gya. Ount bethty hi jung ka naqsha badal gya. Huzrat ayesha ki fouj ki himat toot gayi. Huzrat Ali ne ailan farmaya k bhagny waky ko na pakra jaye. Na kisi zakhmi ko pamal kiya jaye. Jo hathyar dal de usy aman faraham kiya jaye.
Jung khatam hony k bad Huzrat Ali ne umal momien k bhai Muhammad bin abi bakkar ko hukam diya k wo umel mominen ki khariet daryafat karen. K inhen koi zakham to nahi laga or izat k sath inhen mehal men pohncha den. Is k bad ap khud parsti k lie hazir hue or pocha ami jan kesy han , ap ne farmaya achi hun. Huzrat Ali ne kaha Allah hum dono ko muaf farmaye. To Huzrat Aysha ne bhi ye hi kalmat dohraye. Chand din araam karny k bad Huzrat Aysha ko makka rawana kar diya gya. Makka jaty waqat ap ne logon se farmaya, ye jung galat fahemi ki waja thi. Humen aik dosry k sath zydati nahi karni chahyie. Mery or Ali k darmyan jo saas or dammad men kabhi ho jaya karti thi. Is k ilawa koi ranjish nahi. Huzrat Aysha farmati han khuda ki qasam mery or in k darmyan koi ranjish na thi. Huzrat Aysha dunya or akhrat dono jahan men Hzoor (s.a.w) ki haram han. Is khush ayenda guftago k bad dono rukhsat hue. Huzrat Ali ne apko chun meel tak rukhsat kiya is k bad apny shahzadon Huzrat imam Hassan or Huzrat Imam Hussain ko sath rawana kr diya. Huzrat Aysha makka se hoti hui Madeena tashreef le ain. 

Share it

Do not miss

Makhbar e sadiq | urdu story
4/ 5
Oleh