Hasid ka ibratnaak Anjam | urdu story


Hasid-ka-ibratnaak-Anjam-|-urdu-story
Photo by Brian McGowan on Unsplash




Aik naik shakhas kisi badshah k pass nasehat krny k lie betha hota tha or wo is se kaha krta k “ achy logon k sath in ki achai ki waja se acha salook karo kuen k bury logon k kie in ki burai hi kaafi  he”. Aik jahil darbari ko is naik shakhas ki is qurbat par boht hasad tha,to is ne is k qatal ki sazish tyar ki or badshah se kaha” ye shakhas ap ko budbodar samjhta he is ki daleel ye k ap kal is ko apny zyada qareeb kijie ga to wo apny naak par hath rakh le ga ta k ap ki budbu se bach saky”. 
Badshah ne kaha tum jao men khud isy dekh lun ga.” Ye sazshi wahan se nikla or agly din us naik shakhs ko apny ghr dawat par bula kr lehsin khila diya. Wo naik admi wahan se nikal kr badshah or hasbe adat badshah se kaha “ achon k sath acha karo kuen k bury ko anqreeb is burai hi kaafi ho gi”.  To badshah ne isy kaha mery qareeb ao . Wo qareeb aya to is ne is khoof se mou par hath rakh lia kahin badshah lehsin ki budbu na songh le,to badshah ne kaha flan admi sahi kehta tha. Is badshah ki adadt thi k wo apny hath se inam deny ka hi farman likha karta tha. Lekin ab ki bar is ne apny governer ko apny hath se likha k “jub mera khat lany wala ye shakhs tumhary pass aye to isy qatal kr dena  to is ki khaal men bhoosa bbar kr mujhu poncha dena”. Us naik shakhs ne khat lia or bahir nikla to wohi sazshi shakhs usy mila or pocha “ ye khat kesa he”. Naik shakhs ne kaha shayed badshah ne mujhy inaam likh kr diya he. Sazshi sakhs ne kaha ye mujhy hiba kr do. To us naik shakhs ne khushi se kaha tm le lo. Jub wo shakhs khat le kar amil k pass pohncha to amil ne kaha is men likha he k men tmhe qatal kr k tumhari khaal men bhoosa bhar k badshah ko bhej dn. To us ne kaha ye khat men lie nahi he mery mamly men Allah se daro ta ky men badshah se mil sakoon. To amil ne kaha badshah ka khat any k bad badshah se rajoo ni kiya ja skta. Lehaza amil ne isy qatal kr k is ki khaal men bhoosa bhar kr badshah ko bhej di. Phr wohi naik shakhs hasbe adat badshah k pass aya or apni baat dohrai “ achon k sath acha kro to badshah ne herat zda ho kr us se pocha, tm ne khat ka kia kiya, us ne kaha mujhy flaan shakhs mila tha .us ne mujh se khat manga ,to meny ba khushi usy de diya,to badshah ne kaha  “ us ne to mujhy kaha tha k tm kehty ho mery jism se budbu ati he “ to us naik shakhs ne jawab diya , khuda janta he meny aisa nahi kaha, to badshah ne kaha tm ne phr apni naak par hath kuen rakha tha, is kaha mujhy us shakhs ne mujhy lehsin khila diya tha. Meny pasand nahi kiya k ap is ki budbu songhen,badshah ne kaha tum sachy ho apni jagah par ja kr beth jao. Bury admi ki burai us tak pohnch chuki he. 
Dosto Allah hum par reham farmaye or hassad ki burai men goor karo. 
Nabi kareem (s.a.w) k is farman e alishan ki haqeeqat jano” apny bhai ki preshani men khushi ka izhar na karo  kahin Allah isy is se nijaat de kar tumhy is men mubtila na kr de”. 

Share it

Do not miss

Hasid ka ibratnaak Anjam | urdu story
4/ 5
Oleh