Hazrat Musa (AS) part 2 in urdu / hindi

Hazrat Musa (AS) part 2 in urdu / hindi
Photo by Isak Gundrosen on Unsplash



Ay Musa ye 2 nishania is baat ki daleel han k tum Allah k Rasool ho. Ye firoon or is k sardaro or is ki qaoom k logon k samny paish karny k lie di gayi han. Ye daikh kar inhe yaqeen a jana chahyie k tum Allah k rasool ho. Ye sunty hi Hazrat musa k dill men un tamam waqia ki yaad taaza ho gayi jo un k sath miser men paish aye thy. Abhi 3 maah k bachy thy in ki walida ne firaon k dar se inhe darye Tail k safurd kr diya. Unhon se firaon k mehal men parwrish pai. In ka bachpan larkpun or jwani shahzado ki tarah guzri, phr firaon ki qoom ka aik admi in k hath se mara gya. Jub inhe pata chala k in se qatal ka badla lainy ki tyaria jaari han, to wo misr ko chor kr madeen ki taraf chaly gaye. 10 saal ro posh rehny k bad ab is trah misr jana chahty thy k kisi ko kano kan khaber na ho. Wo firaon k samny jany se bachty thy mager unhen friaon k hi mehal men jany ka hukam mila.
Firaon ki hakoomat is zamany men sub se zyada taqatwar hakoomat thi. Firaon bra jabir or zalim badshah tha. Is ne ailan kr rakha tha k wo misr sub bara rab he. Mulak k kamzoor bashindo khas tor par israil k logon ko daba rakha tha. Or in par sakhat zulam krta tha. Hazrat musa bani israil k hi aik fard thy. Is lie wo Allah ka hukam sun kr boht ghabraye or Khuda k hazoor aajzi se Araz kiya k “aye mery Allah mujhy pta he k firaoni mujhy jhutla den gy , mujh par aik misri k qatal ka  ilzam bhi he. Mumkin he k hasehat krny se pehly hi qatal k ilzam men girfitar kr lia jaye. Mujhy rawani se taqreer karny ki mashaq nahi. Mera bhai haroon boht acha maqrer he. Meri darkhwast he k meri bjaye mery bhai ko rasool maqarer kijye.
Ye darkhwast krny k bad socha k shayed Allah ne ye mery safurd kiya he. Wo khoob janta he risaalat k lie kon mozoon he men ya haroon. Mujhy ye darwast nahi karni chahyie thi k meri bajye mery bhai ko rasool bna diya jaye. Chunachy unho ne Allah ki janib arz kia k”parwerdigar mera seena khol de or mujh men is azeem munsib ko sambhalny or is ko pura karny ki silahet paida kr. Or mujhy wo sabar o azam or istiqlaal ata farma jo is k lie darkar he. Ta ky ye kam mery lie asaan ho jaye. Or meri zubaan khol de taky men apni baat logon tk pohncha sakoon or sunny walo k dilo men utar sakun. Or mery apny kumby men se mery bhai haroon ko mera madadgar bna de. Is k zarie mery hath mzaboot farma or isy nabuwat k kam men mera saathi bana de. Hum yuk jaan ho kr teri paaki byan kren or teri yaad men lagy rahen.
Parwerdigaar tu hmesha hamry haal ka nigran raha he.
Irshaad hua….      Aye mussa tmhari dua qabool ho gayi hum tmhary bhai k zarie tumhary hath mazboot kren gy. Is se pehly bhi hum Kai baar tum par ehsan kr chuky han. Hum ne hi tumhari walida k zehn men ye baat dali k wo tumhy darya men daal de. Hum ne tumhy itni pyari soorat ata farmai k dusham bhi tum se pyar karny lagen. Tum ne hmari nigraani men firaon k mehal men parwarish pai. Phr jub aik misri tumhy hath se mara gya to hum ne hi gum se nijaat di or madeen tumhary lie acha thikana muhaya kiya. K hum ne tumhe apna rasool bany k lie paida kiya. Or isi kam k lie tmhe apni ngraani men parwerish or tabiet ka intizam kiya. Ab tm dono bhai meri di hui nishania le k firaon k darbar ,sardaro or logon k pass jaon. Hum tumhy aisa roob or dabdaba bakhshen gy k koi tumhara kuch na bigar saken gy. Humari nishanio ki barkat se ghala tumhi ko hasil ho ga. Aik baat or yaad rakho. Jub koi aisa nazuk moka paish a jaye jis se tumhary dil men khoof paida ho to apny dahiny hath ko bhaich lia karo. Is se tumhara dil mazboot ho jaye ga or dar or khoof tumhary qareeb bhi na aye ga.
Hazrat moosa koh e toor k damin men se aagg leny gaye thy. Magar peghambri le kar loty. Ahlo ayal k pass pohnch kr sara waqia sunaya. Raat wohin basar ki. Subha hoty hi misr ka rukh kiya. Ghr se is iraady k sath rawana hue thy k misr pohnch kr is trah khamoshi k sath zindagi basar kren gy firaonio ko in wapsi ka pata tak na chaly ga. Magar ab is azam k sath agy barh rahy han k dhary se firaon k darbar men jayen gy is baat ki dawat den gy gudai k dawy tark kr k khuda ki bandagi ikhtiar kary. Sath hi bani israil k logon ka iman taaza kren gy. Or inhen firaonio k zulm se nijaat dilayen gy. Kisi ne kia khoob kaha
 Khuda k deen ka moosa se poshye ahwal
K aagg leny ko jayen peghambri mil jaye.

Share it

Do not miss

Hazrat Musa (AS) part 2 in urdu / hindi
4/ 5
Oleh