MAA | urdu kahani | story time

                                                   ماں



MAA | urdu kahani | story time
story time

                                           




Ali aur Hammad do Bhai they. Donon saath school jaate they. Roxana school jatey waqt wo raaste 
mein ek pair k neeche se guzarte they. Pair bht hi bara aur Ghana tha aur us ki shaakhen bhi khaasa 
pheli Hui theen. Us pair or ek bara sa chirya ka ghonsla tha. Ek din school jatey waqt donon bachon me dekha k us ghonsley mein ek anda tha. Kaafi dinon TK wo us andey ko dekhte they. Roz school jatey waqt aur school se aatey waqt usey dekhtey they. Ek din jb wo school ja they they to Inhon ne dekha k anday k tootney ki awaaz arhi hai. Kch said mein us Mei se ek chota sa parinda nikla. Chirya ur kr apney ghonsley mei aai aur us parindey k pass aakr baith gai. Wo donon is parindey ko dekh kr bht hairaan Huey. Parinda bht chota tha aur is liye ur nhi skta tha. Unhon ne ghr ja kr pni ammi ko is baarey mein bataya. Ammi me bataya k wo parinda chirya ka bacha hai. Chirya andey deti hai his Mei se bacha nikalta hai. Ye Allah Taalah ki ek Bari naimat hai. Bache ye sn kr hairan Huey air sochney lagey k parinda itna chota hai aur ur bhi nhi skta. Usey Khana kon deta hoga. Ye soch ke donon bachey apney kamrey mein chaley gye. Wo poori raat usi chirya k bachey k baarey mein aochtey rahey. Agli sbha jb wo school ja rhey they to Inhon ne jatey jatey chirya k ghonsley mei dekha. Chirya ka maasoom sa bacha waheen tha. Wo is soch Mei they k isey Khana kon dega k itney mein chirya urtey Huey aai. Us k mn Mei Dana tha. Us ne apni chonch se bachey ki chonch mei Dana daala Josey phir bachey me kha liye. Donon bachon ko smjh Aya k chirya apney bachey ko Khana la kr deti hai. Ye dekh kr wo bht Khushi huey air school Chey gye. School Mei urdu ki ustaani ne unhen maa k baarey mein parhaya. Ustaani sahiba ne bataya k maa wo Azeem hasti hai Jo hr waqt apney bachon ka khayal rkhti hai, unhe bara krti hai, Khana khilati hai, unhe pyaar krti hai. Is dunya mein ek bacche ko maa se zyada aur koi pyaar nhi krta. Us k baad ustaani ne unhen maa pr ek Kahani likhne ko kaha. Ali aur Hammad ne chirya aur us k bachey ki Kahani likhi k kis trha chirya apney Bache ko rozana chonch se daana khilati aur us ka khayal rkhti hai. Ustaani sahiba ko un ki Kahani bht pasand aai. Unho ne dono bachon k liye class Mei taaliyan bajwayeen aur unhen inaam bhi Diya.

Share it

Do not miss

MAA | urdu kahani | story time
4/ 5
Oleh