Hazrat Musa (AS) or Faroon

Hazrat Musa (AS) or Faroon
Photo by Alexandr Hovhannisyan on Unsplash






Inhi hafty me ak roz ki choti di jaye. Taiky wo aram kar ky apni quwat bahal kar saky. Or inki tandarusti qaim rahy, apni khuda dar zahanat sy kaam ly kar inhy ny asay bohat sy kaam kiye jis ki waja sy mulaq bhar me inki nami pheel gai. Faroon ky sardaro ky ghuman me bi na aa sakta tha. Ky jis nojawano ko apn dasty bazo samaj rahy han. Wohi unky dasty bazo tooray ga. Or unki hakomat or takaq ka hatama karay ga. Faroon jo khudai ky dawy dar tha. Es bat sy bilkul by kharab tha!
Hazrat Musa (AS) aqsar shehar me ghoomny jaya karty thy. Ak din wo asay ghoomny nikly jab sarky sunsaan the her taraf sanata tha. Ak jgha kya dekha hai ky do admi lar rahy hai. In me sy ak Israeli tha or dosra qatbi yani Faroon ka admi. Israeli ny Hazrat Musa ko madad ky liye pukara. Hazrat Musa (AS) ny aggy bhar kar qatbi ko ak ghonsa mara. Ghonsa lagty hi qatbi zameen par gir para or dekhty hi dekhty tarap kar dum toor diya. Hazrat Musa (AS) ny ghonsa larai khatam karny ky liye mara tha. In ky weham o guman me bi na a sakta tha ky ak hi ghonsy sy qatbi ka kam tamam ho jaye ga. Es liyr wo bohat pashiman howy.
Or Allah Tallah ky Hazoor gi gara kar ilteja ki. “pawardighar me ny apni jan par zulam kiya meri khata ko maaf kar dy or merey gunnah per parda daal dy.” Allah Tallah ny unki faryad sun li or inki khata maaf kar di. Wo gafoor o hareen hai. Hazrat Musa (AS) ny ahad kiya ky: “pawardegar ye jo ehsan tum ny muj per farmaya hai. Es ky liye me be had shukar guzar hu. Me kabhi bi mujarmo ka sath ni du ga.”
Esi liye inho ny apny dil me faroon or uski haqomat sy kata talaq krny ka ahad kiya. Faroon ki haqomat ak zalim haqomat the. Es ny ahly mulaq ko do garooho me banth rakha tha. Qatbo ky liye her tarah ky aram o asaish ky asbab thy. Inka haqomat me bi amal Dakhal tha. Magar Israeli zindagi ki bunyadi zarorato sy bi mehroom thy. 
Inhy apny mazhab per Chalny ki bi ijazat ni the. Balky gulamo ki c zindagi guzarny per majboor thy. Hazrat Musa (AS) ny mehsoos kiya ky kisi bi iman dar admi ko ye zaab ni detha ky asi zalim hakomat ka kul perza ban kar rahy. Balky es ka farz hai asi hakomat ka hatama karny ky liye pori koshis karay.
Qatbi ky qatal ki khabar saray shehar me phaal gai. Lakin surag na mila. Logi ky dilo me ye shaba zaror tha ky ho na ho ye kisi Israeli ka kaam hai. Eska pata lagwa kar esay kaifar kardar ko pounchaya jaye. 
Dosray roz subha savarey Hazrat Musa (AS) shehar me ghoomny gay. Kal ky nagawar waqaye ki abhi tak yad taza the. Dar rahy thy raz na fash ho gya ho. Or achanak sy koi mera daman na pakar ly. Sehmy sehmy ja rahy thy. Phir do admi larty howy dekhai diye. Ak wohi Israeli the jis ki himayey me Hazrat Musa (AS) ny qatbi ko ghonsa mara tha. Es ny phir Hazrat Musa (AS) ko madad ky liye pukara. To Hazrat Musa (AS) ny dant kar kaha. Tum jagralo maloom hoty ho. Her roz kisi sy jagra mool lethy ho. Kal bi tum ak shaks sy ghutham ghutha ho rahy thy. Aj phir danga fasad kar rahy ho. Ye kah kar wo jagra khatam karny ky liye aggy barhy. Israeli ye samja kal jis tarah inhi ny kal qatbi ko ghonsa mara tha. Aj ghonsa mar kar kaam tamam karna chahty hai. Es liye wo chala utha. “ky aj mujy es tarah qatal krna chahty ho jis tarah kal ak shaks ko qatal kar chuky?
Tum es mulaq me zalim ban kar rahna chahty ho, islah karny waly ni banna chahty”
Masal mashoor hai ky naqli honto sy chatni kutto. Es Israeli ki zuban sy in alfaz ka nikla tha. Ky haqumat ko khabar pounch gai ky qatbi ka qatal Hazrat Musa ny kiya hai. Bas phir kya tha. Inko giraftar kar ky un per qatal ka muqadma ka faisla ho ga. Magar es sy phle koi afsar Hazrat Musa ko giraftar karny pounchy. Hazrat Musa ky khair khawa ny inhy itla dy di ky tumhari giraftari or qatal per mashwaray ho rahy han. Jan ki khair chahty ho to yaha sy foran nikal jao. Me tumhara sucha khair khawa hu. Merey mashwaray per amal karo warna pechtao gy. Ye sunty hi Hazrat Musa (AS) daral haqomat ay bagh nikly. Taiky jitni jaldi mumkin ho Faroom ki sultanut ki sarhad ko paar kar jaye.
Bat he hai ky Allah Tallah ny jis maqsad ky liye Hazrat Musa (AS) ko Faroon ky mehal me rahny ka intizam kiya tha. Wo maqsad pora ho chuka tha. Wo haqomat ky karobar or toor tariqo sy waqif thy. Inho ny shazido ki tarah parwish paii the. Es liye Faroon or sardaro sy be jijak guftugo kar sakty thy. Inky dil me Faroon or Farooniyo ky rob ka zera bi hoof na tha. Ab inki tarbeeyat ka dosra marhala a gya tha. 
Jis ky liye Faroon ka mehal mozo na tha. Es liye qudrat ki taraf sy asay halat paida ho gay ky Hazrat Musa ko misar sy nikalna para.

Share it

Do not miss

Hazrat Musa (AS) or Faroon
4/ 5
Oleh